Tuesday, July 14, 2009
Meri Zindagi, Meri Jaan-e-Jaan
Mujhe Le Chalo kabhi Us Jahan
Jahan Tu Hi Mera Naseeb Ho
Jahan Dil Se Tu hi Qareeb Ho
Jahan Gham Kabhi Na Aa Saken
Jahan Nafratein Na Sata Saken
Jahan Qurb Ho, Jahan Ho Khushi
Jahan Chahati Ho Hamein Zindagi
Jahan Dil Mera Na Udaas Ho
Jahan Her Jagah Teri Aas Ho
Meri Zindagi Meri Jaan-e-Jaa
Mujhay Lay Chalo kabhi Us Jahan
Monday, July 13, 2009
Ab Na Muskurayenge Hum
********************************************
Ab na muskurayenge hum teri dunia main sanam
Rehne do tanha hame itna hi kar do karam
Shabbe furkat mein chandni aitbar kar rahi hai,
Chashme ter na ho falak dekh ke tera sitam
Kijaa mein doobkar baharon ki fizayein royi
Aashiyan jalte hi dil ko mila ranj-o-aalam.
Humpe mohabbat ke katron ka na dalo tum kafan
Zindagi udte hi tum tod do apni kasam.
Maine chaha tha tere waste luta du dunia
Woh shikayat na rahi chod do mera bram
Tere pyar se mere dil ko mila hai ye sila
Aur na intezar karo verna khuda ko bi ho gam
*******************************************
Tokkar Khaker ...
Sabab rootne ka bata kar to jate
Hame bhi zara aajmakar to jate
Fazaon ne poocha kayi bar tum ko
Jalak bas zara si dikha kar to jate
Muskura rahi thi chaman main bahare
Mohabbat ke nagme sunakar to jaate
Diya dard-dil koyi shikwa nahi hai
Pata charagar ka bata kar to jate
Agar besabab thi hamari shikayat
Zara aankh hum se mila kar to jate
Zara aur rukte to hoti enayat
Janaja hamara uta kar to jate
Mita hi diya jab "Roja" ko tumne
To uski chita bhyi jala kar to jate
Subscribe to:
Posts (Atom)